31

Prabhu Mera Charwaha

Prabhu mera charvaaha, Prabhu mera rakhvaalaMujhe kuch ghati nahi hai (2)1. Sukhdaayi jharne ke paas,Le jaata hai bujhaane meri pyaas;Dharm ke maarg mein woh,Sarvada le jaata hai. (2)2. Shatruon ke saamne,Mej ko bichhaata hai mera;Aanand ke tel se,Abhishek karta hai mera. (2)3. Ghor andhakaar se bhari,Ghaati mein ho kar chalu;Koi haani se na darunga,Kyon ki prabhu saath hai mera. (2)4. Bhalai aur karuna jeevan,Nischay banee rahegi,Prabhu ke mandir mein,Sarvada main vaas karunga. (2)