17

Man To Prabhu Ka Mandir Hai

Man to Prabhu ka mandir hai,tan apna daan karo,Apne Prabhu ki seva mein,sab apna daan karo.1. Hai yaad tumhe janme the,Tum paap ke sagar mein,Aur pane tumhe aayaa,Woh paap ke sagar mein;Us pyare Prabhu ke naam ke liye,Kuchh apna daan karo.2. Kal tum jo bhatak gaye the,Anjaan si raahon mein,Woh tumko bacha laya,Apni pyar ki baahon mein;Jo bhi mila hai Prabhu mein tumhe,Auron ko daan karo.3. Andhkar ke jeevan mein,Woh roshni le aayaa,Us roshni mein hamne,Ek maarg naya paaya;Jeevan tumhara hai uska,Jeevan balidaan karo.